Monday, August 9, 2010

Kuch To Pata Chale

Is kadar kuoon ho khafa ye to bataa do mujhko
Kaun karta hai wafa ye to bataa do mujh ko
Kashityaan aake kinaaron pe doob jaati hain
Waqt se kaun bachaa ye to bataa do mujhko
Intihaan tak pahunch jaayengen ham ko hai yakeen
Do kadam chal ke thake kion ho bataa do mujh ko
Mushkilen  zindagi main aati hi rahengi aqsar
Ei Suman dar ke kion chalte ho bataa do mujhko

1 comment: